Sama Ki Roshani Se Andhera MP3 Song Download

Sama Ki Roshani Se Andhera
ArtistRakesh Pujara
Typesong
AlbumDil Tujhko Diya Love Shayari 2
Year2021
Release Date2021-09-12
Duration6:11
Languagehindi
LabelMeshwa Electronics
Play Count550,137
Explicit ContentNo

Download Links

QualityTypeAction
12kbpsMP3
48kbpsMP3
96kbpsMP3
160kbpsMP3
320kbpsMP3

Artists

View Rakesh Pujara
Rakesh Pujara

Rakesh Pujara

View Mahesh Joshi
Mahesh Joshi

Mahesh Joshi

View Ashok Patel
Ashok Patel

Ashok Patel

Recommended Songs

More from Artist

Lyrics

Shamma ki roshni se andhera door hota hai
Shamma ki roshni se andhera door hota hai
Iss duniya mein har koi majboor hota hai
Jo aankhon se jitna door hota hai
Jo aankhon se jitna door hota hai
Wahi hamari aankhon ka noor hota hai

Din mein deepak jalane se kya hoga
Raakh mein aag lagane se kya hoga
Jab aapko aati nahin hamari yaad
Jab aapko aati nahin hamari yaad
To aapko yaad dilane se kya hoga

Kabhi kisi se judaai ka zikra na karna
Iss dil se kabhi ruswaayi mat karna
Jab dil bhar jaaye hamare rishte se to bata dena
Jab dil bhar jaaye hamare rishte se to bata dena
Hame na kehkar humse bewafai mat karna

Ruthna mat hame manana bhi nahi aata
Door mat jaana hame paas laana bhi nahi aata
Aap bhul jao hame aapki marzi
Par hum kya karein hamein bhulana bhi nahi aata

Har baat kehkar samjhayi nahi jaati
Har chiz zindagi mein paayi nahi jaati
Yun to har waqt yaad karte hain tumko
Yun to har waqt yaad karte hain tumko
Yaadein kisi ko dikhai nahi jaati

Logon ko aksar yeh kehte suna hai
Zinda rahe to phir milenge
Aapko milne se dil ne yeh mehsus kiya hai
Aapko milne se dil ne yeh mehsus kiya hai
Ki milte rahenge to zinda rahenge

Yun hi aankhon se aansu behte nahi
Kisi aur ko hum apna kehte nahi
Ek aap hi ho jo dil mein ruk se gaye ho
Ek aap hi ho jo dil mein ruk se gaye ho
Warna rukne ke liye hum kisi ko kehte nahi

Jiyo itna ki marna mushkil ho jaaye
Haso itna ki rona mushkil ho jaaye
Kisi ko chahna achi baat hai magar
Kisi ko chahna achi baat hai magar
Kisi ko mat chaaho itna ki bhulana mushkil ho jaaye

Hum hawa nahi jo kho jaayenge
Hum waqt nahi jo guzar jaayenge
Hum mausam nahi hain jo badal jaayenge
Hum to aansu hain jo khushi aur gham dono mein nazar aayenge

Khushboo ki tarah aapke paas bikhar jaayenge
Sukoon bankar dil mein utar jaayenge
Mehsus karne ki koshish to kijiye
Mehsus karne ki koshish to kijiye
Door hote hue bhi paas nazar aayenge

Mohabbat ke deepak dil mei jalakar to dekho
Jawan dil ki duniya sajakar to dekho
Ho na jaaye tumhe mohabbat to kehna
Ho na jaaye tumhe mohabbat to kehna
Tum apni tirchi nazar milaakar to dekho

Kabtak tum hamein yun tadpaate rahoge
Yaad bankar dil mein aate rahoge
Kitna bhi humse door jaate rahoge
Kitna bhi humse door jaate rahoge
Saaye ki tarah saath hamein hi paate rahoge

Har lafz ko kaagaz par utaara nahi jaata
Har lafz ko kaagaz par utaara nahi jaata
Har naam ko sar-e-aam pukara nahi jaata
Hoti hai pyaar mein kuch raaz ki baatein
Yun hi is khel mein haara nahi jaata

Kusur to tha in nigahon ka
Jo chupke se deedar kar baithi
Humne to khamosh rehne ki thaani thi
Humne to khamosh rehne ki thaani thi
Par bewafa zubaan izhaar kar baithi

Hasraton se aapki raaha saja denge
Sapnon ki daulat aap par luta denge
Na koi phool hai aaj mere daaman mein
Na koi phool hai aaj mere daaman mein
Lekin aapke aane par palkein bicha denge

Bheegi palkon ke sang muskurate hain hum
Bheegi palkon ke sang muskurate hain hum
Pal pal dil ko behlaate hain hum
Aap door hain humse to kya hai
Aap door hain humse to kya hai
Har saans mein aapko chahte hain hum

Wafaon mein meri itna asar to aaye
Jinhe dhundti hain nazrein vo naza to aaye
Hum aa jaayenge palak jhukne se pehle
Hum aa jaayenge palak jhukne se pehle
Tumne yaad kiya yeh khabar to aaye

Najaane kab vo rishta ban gaya
Najaane kab vo rishta ban gaya
Anjaana koi apna ban gaya
Hame ehsaas bhi na hua
Hame ehsaas bhi na hua
Aur koi hamari zindagi ki zaurat ban gaya

Vo baat kya karun jiski khabar hi na ho
Vo baat kya karun jiski khabar hi na ho
Vo dua kya karun jismein asar hi na ho
Kaise keh dun aapko lag jaaye meri umar
Kaise keh dun aapko lag jaaye meri umar
Kya pata agle pal meri umar hi na ho

Aankhon mein armaan diya karte hain
Sabki neendein chura liya karte hain
Ab se jab aapki palkein jhapkein
Ab se jab bhi aapki palkein jhapkein
Tab samajh lena hum aapko yaad kiya karte hain